Sad Poetry
❄) Aey shama tujh pay raat yeh bhari hai jis tarah,
Menay tamam umar guzari hay is tarah..
-- Jann Nisar Akhtar --
❄) Men us ko bhool jaon kesi baaten kartay ho,
Soorat to phir soorat hay, wo naam bhi payara lagta hay..
❄) Sara hi shehar us kay janazay men tha shareek,
Tanhaaiyon kay khof say jo shakhs mar gaya..
❄) Wohi to markazi kirdaar hay kahani ka,
Usi pay khatam hay taseer be'wafai ki..
❄) Ik taweel arsay kay baad,
Hansi aai bhi to apnay hi haal par..
❄) Ab to awaaz bhi do gay to nahi aaen gay,
Tootnay walay qayamat ki anaa rakhtay hen..
❄) Mana kay teri deed kay qabil nahi hun men,
Tu mera shoq dekh mera intezaar dekh..
❄) Apni aankhon ko noch daalun ga,
Khawab aaye jo phir Muhabbat kay..
❄) Khabar sun kay marnay ki wo bolay raqeebo'n say,
Khudaa bakshay bohat si khoobiyan thi'n marnay walay men..
❄) Yaqeen mano koi majbooriyan nahi hoti'n,
Log aadatan wafa nahi kartay..
❄) Roz mujh ko fareb deta hay,
Kher us ko yeh zaib deta hay..
❄) Har morr pay milta hay hamdard naya,
Meray shehar men hen fankaar bohat..
❄) Talkhiyaa'n jab chubnay lagi jab zeest kay pemanay men,
Dard kay maaro ney piya ghol kay Eid ka chaand..
❄) Sab hi tareef kartay hen meri tehreero ki,
Kabhi koi nahi sunta meray lafzon ki siskiyaa'n..
❄) Aur kya is say zayada koi narmi bartun,
Dil kay zakhmon ko chua hay teray gaalo'n ki tarah..
-- Natiq Lakhnavi --
❄) Poocha tha haal us ney barri mudatton kay baad,
Kuch parr gaya hay aankh men yeh keh kay ro paray..
❄) Pathar mujhay kehta hay mera chahnay wala,
Men mom hun us ney mujhay chu kar nahi dekha..
❄) Mera ik mashwara hay iltijaa nahi,
Tu meray paas say is waqt jaa nahi..
❄) Tujh ko dekhay bina qaraar na tha,
Aik aesa bhi daur guzra hay..
❄) Shaam sey soch raha hun Nasir,
Chaand kis shehar men utra hoga..
❄) Deewar kya giri meray kachay makaan ki,
Logon ney meray ghar say rastay bana liye..
❄) Mujh say ab shaayeri nahi hoti,
Mujhay lafzo'n ney maar dala hay..
❄) Dard barh kar dawa na ho jaaye,
Zindagi be-maza na ho jaaye..
❄) Tum mujhay bhool jao to yeh haq hay tum ko,
Meri baat aur hay menay to Muhabbat ki hay..
❄) Ab tak khabar na thi Muhabbat gunah hay,
Ab jan kar gunaah kiye jaa raha hun men..
❄) Sab kay honton pay tabassum tha meray qatal kay baad,
Jaaney kya soch kay rootha raha qatil mera..
❄) Mujhay ishq kay par laga kay uraa,
Meri khaak jugnu bana kay uraa..
❄) Taak men dushman bhi thay aur pusht par ehbaab bhi,
Pehla teer kis ney maara, yeh kahani phir sahi..
❄) Meri aankhon men ab bhi chubhta hay,
Tu ney jo khawab tor dala tha..
❄) Meri samajh say bahir hay,
Meray andar betha hua shakhs..
❄) Ab saharo'n ki baat mat karna,
Ab dilaso'n say bhar gaya hay dil..
❄) Men kesay sard haathon say tumharey gaal chuta tha,
December men tumhen meri shararat yaad aaye gi..
❄) Apni anaa ki aaj bhi taskin ham ney ki,
Ji bhar kay us kay husan ki toheen ham ney ki..
-- Iqbal Sajid --
❄) Yeh aankhen teri deed kay,
Faaqo'n say mar gai'n..
❄) Apni janib say dil ko saaf kiya,
Jaa Muhabbat tujhay muaaf kiya..
❄) Likhna to tha kay khush hun teray bagair bhi,
Aansu magar qalam say pehlay hi gir gaye..
❄) Ham say kya ho saka Muhabbat men,
Khair tum ney to bewafai ki..
❄) Waqt tezi say badal gaya, aur tum,
Waqt say bhi tez niklay..
❄) Tum kisi kay bhi ho nahi saktay,
Tum ko apna bana kay dekh liya..
❄) Teray bina zindagi say koi shikwa to nahi,
Teray bina zindagi bhi lekin zindagi to nahi..
❄) Haal-e-dil yaar ko likhun kyun kar,
Haath dil say juda nahi hota..
❄) Wo jisay neend kaha kartay hen sab, chain ki neend,
Wo teray baad kabhi aankhon men utri hi nahi..
❄) Apnay khilaaf shehar kay andhay hajoom men,
Dil ko bohat malaal tujhay dekh kar hua..
❄) Bewafai pay teri ji hay fida,
Qehar hota jo ba'wafaa hota..
❄) Waqt ki chand saayte'n Sagar,
Loat aaen to kya tamasha ho..
❄) Bewafai ki sabhi kitaabo'n men,
Teray jesi koi misaal nahi..
❄) Kya samajhtay ho tum Muhabbat ko,
Chaar lafzo'n ki ik azziyat hay..
❄) Zindagi ko to behr-e-haal guzar hi jana tha,
Muft ehsaan zamaney kay uthaaye ham ney..
❄) Dil ko tora to saleeqay say na tora tum ney,
Bewafai kay bhi adaab hua kartay hen..

Comments
Post a Comment